People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 14 *

Umangein Dilki
Singer: Noor Jahan
Music: Firoz Nizami
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Umangein-Dil-Ki-Machli/XTgJUCRnA1k
Video:
umage
umage dil ki machali muskurai zindagi apani
umage dil ki machali muskurai zindagi apani

vo sham, a
vo sham suhani thi, phulo pe javani thi
vo sham suhani thi, phulo pe javani thi
in shokh nigaho me
ulfat ki kahani thi, ulfat ki kahani thi
tumane jo di ummide
halachal si uthi dil me, halachal si uthi dil me
muhabbat le ke agadai javani jhum uthi apani
umage dil ki machali muskurai zindagi apani

ham dil ko laga baithe o
ham dil ko laga baithe
kya duniya basa baithe, kya duniya basa baithe
is prem ke tufa ko, ik phul chadha baithe
hai chand sa pyara jo us prem ki naiya ka
ab tu hi sahara hai, ab tu hi sahara hai
lagae par kashti dur duniya se kahi apani
umage dil ki machali muskurai zindagi apani

oo yahi manzar hai ankho me
yahi alfaz hai lab pe, yahi araman hai dil me
yahi assha lalala, yahi assha hai ab unase
vahi chaliye, vahi chaliye, vahi chaliye
vo mahafil hai, jis mahafil me duniya lut gayi apani
umage dil ki machali muskurai zindagi apani
umage
Tum Bhi Bhula Do
Singer: Noor Jahan
Music: Firoz Nizami
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Tum-Bhi-Bhoola-Do/RzA,BwBie3c
Video:
tum bhi bhula do mai bhi bhula du
tum bhi bhula do mai bhi bhula du
pyar purane gujre jamane
pyar purane gujre jamane, gujre jamane
tum bhi bhula do

chandani rate
chandani rate aur nadi kinara
pyar ki bate aur pyar hamara
bhul saki na phir bhi bhula de
bhul saki na phir bhi bhula de
bit chuke hai din jo suhane
bit chuke hai din jo suhane, gujre jamane
tum bhi bhula do

agar apna tumhe hum bana na sake
mat samjho ye preet nibha na sake
agar apna tumhe hum bana na sake
mat samjho ye preet nibha na sake
hum dunia se majbur hue
hum dunia se majbur hue
tum aur bhi hamse dur hue
tum aur bhi hamse dur hue
dard na jana preet na samjhi
dard na jana preet na samjhi
kyu lage aur ab tadpane
kyu lage aur ab tadpane, gujre jamane
tum bhi bhula do mai bhi bhula du
Jigar Ki Aag Se
Singer: Noor Jahan
Music: Firoz Nizami
Lyricist: Qateel Shifai
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Video:
jigar ki aag se is dilako jalataa dekhate jaao
jigar ki aag se is dilako jalataa dekhate jaao
luti jaati hai armaano ki duniyaa dekhate jaao
jigar ki aag

baha kar le chali hai gam ki mauj dil ki kshtiko
baha kar le chali hai gam ki mauj dil ki kshtiko
hmaare dub jaane ka njara dekhte jaao
miti jaati hai armaano ki duniya dekhate jaao

lagi hai aag dil me aankh se aansu barasate hai
bhari barasaat me is ghar ko jalataa dekhate jaao
is din ke liye bolo tumhe kyaa hamane chaahaa tha
ki ham barabaad ho aur tum tamaashaa dekhate jaao
Aaj Ki Raat Saaz-E-Dard
Singer: Noor Jahan
Music: Firoz Nizami
Lyricist: Asghar Sarhadi
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Aaj-Ki-Raat/KTs7VQNoc2w
Video:
aaj ki raat
aaj ki raat saaze dil-e- purdard na chhed

kaun ulfat ka jo haste huye taro ne suna
band kaliyo ne suna mast baharo ne suna
sab se chhup kar jise
sab se chhup kar jise do prem ke maro ne suna
khwab ki baat samjh, usko hakikat na bana
aaj ki raat saaze dil-e- purdard na chhed
aaj ki rat

ab hai armano pe chhaye huye badal kale
fut kar risne lage hai mere dil ke chhale
aankh bhar aayi chhalakne ko hai ab ye pyale
muskuraye mere hal pe duniyan wale
aaj ki raat saaze dil-e- purdard na chhed
aaj ki rat

bebso par ye sitam khub jamane ne kiya
bebso par ye sitam khub jamane ne kiya
khel khela tha mohabbat ka adhura hi raha
khel khela tha mohabbat ka adhura hi raha
haye takdir, ke takdir se pura na hua
haye takdir, ke takdir se pura na hua
aise aani thi judai mujhe malum na tha
aaj ki rat saaze dil-e- purdard na chhed
aaj ki rat
Hamein Toh Sham-E-Gham
Singer: Noor Jahan
Music: Firoz Nizami
Lyricist: Asghar Sarhadi
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Hamen-To-Sham-E-Gham-Mein/XT4SQBFWYwQ
Video:
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni
jaha wo hai wahi ai chaand le ja chandani apni
jaha wo hai wahi ai chaand le ja chandani apni

agar kuch thi to bas ye thi tamanna akhiri apni
agar kuch thi to bas ye thi tamanna akhiri apni
ki tum saahil pe hote aur kashti doobati apni
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

taqaza hai yehi dil ka wahi chaliye, wahi chaliye
wo mehfil haaye jis mehfil me duniya lut gayi apni
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

khuda ke vaaste zalim ghadi bhar ke liye aa ja
ghadi bhar ke liye aa ja
bhujhani hai tere daaman pe shama-e zindagi apni
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni
hame to
Yaha Badala Wafa
Music: Firoz Nizami
Lyricist: Tanvir Naqvi
Album: Jugnu(1947)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Jugnu/Yahan-Badla-Wafa-Ka/CV1fcj5aZX4
Video:
yaha badla wafa ka bewfaayi ke siva kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
yu hi duniya badalti hai, isi ka naam duniya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
tadapne bhi nahi deti, hame majburiya apni
tadapne bhi nahi deti, hame majburiya apni
mohabbat karne vaalo ka tadapna kisne dekha hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai

bade arman se vaado ne dil me ghar basaya tha
bade arman se vaado ne dil me ghar basaya tha
vo din jab yaad aate hai chale jaane ko aata hai
yaha badla wafa ka bewfaayi ke siva kya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai
yu hi duniya badalti hai, isi ka naam duniya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
mohabbat karke bhi dekha, mohabbat me bhi dhoka hai

bhula do vo zamana jab mujhe apna banaaya tha
bhula do munh me ulfat jab tumhare lab pe aaya tha
bhula do vo kasam
bhula do vo kasam jo dilaayi thi kabhi tumne
bhula do vo kasam jo ki khaai thi kabhi tumne
bhula do dil se tum guzare huye rangin zamane ko
bhula do, haan bhula do ishq ke saza fasaane ko
tamannaao ki basti me, adhera hi adhera hai
kise apna kahu koi jo apna tha paraaya hai
yu hi duniya badalti hai, isi ka naam duniya hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kya tha, abhi kya hai
mohabbat karne vaalo ka tadapna kisne dekha hai
yaha badla wafa ka bewfaayi ke siva kya hai
yaha badla
Dil Du Ke Na Du
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Video:
dil du ki naa du, dil du ki na du
dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
ae ae ae ae
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha

mumkin hain mumkin hain ki
dil lete hi fauran wo badal jaaye
mumkin hain mumkin hain ki
dil lete hi fauran wo badal jaaye
barsaat ke mausam me, mujhe dur na karna
barsaat ke mausam me, mujhe dur na karna
kahte hain bura hota hain, har shak ka natija
kahte hain bura hota hain, har shak ka natija
aa aa aa aa
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
dil du ki na du
Ab Toh Nahi Duniya Mein
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Nadan/Ab-To-Nahin-Duniya-Mein/QiICayddR0E
Video:
ab to nahi dunya me kahi
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana

ab kisse kahe kaun sune
apna fasana, dushman hain jamana
ab kisse kahe kaun sune
apna fasana, dushman hain jamana

mana ke ham ek tarah se lachar huye hain
mana ke ham ek tarah se laachar huye hain
sab kaam hamare liye dushvar huye hain
sab kaam hamare liye dushvar huye hain
lekin kabhi kadmo se dare hain na darenge
lekin kabhi kadmo se dare hain na darenge
sab kah ke rahenge gam jayenge takdir ke
tiro ka nishana, dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana

aaye gaye jab isime to royenge hasenge
aaye gaye jab isime to royenge hasenge
is pal ko jiyenge
soyi huyi takdeer ko aata hai jagana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
Raushani Apani Umangon
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/album/hindi/Nadan-1943/udZTcVgw-JY_
Video:
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
apni qismat ke diye hum khud bujhaa kar chal diye
apni qismat ke diye hum khud bujhaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye

jinse milne ki duaa karte rahe hum umr bhar
jab wo pahuche hum nazar apni jhukaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye

wo teri qismat se ban jata hai dushman tera dost
wo teri qismat se ban jata hai dushman tera dost
hum yaha har dost ko dushman bana kar chal diye

dekhne aur sunane waalo ko pasand aaye na aaye
dekhne aur sunane waalo ko pasand aaye na aaye
jo kisi dil ki kahaani hum suna kar chal diye
jo kisi dil ki kahaani hum suna kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
Ek Anokha Gham
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Nadan/Ek-Anokha-Gham/Hx0NCD0dBXA
Video:
ek anokha gham
ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
jinko dekha tha mujhe unse mohabbat ho gayi
jinko dekha tha mujhe unse mohabbat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi

shath hai jinke chale jane ka gham to raat din
shath hai jinke chale jane ka gham to raat din
jab se aayi hai jawani ek mushbat ho gayi
jab se aayi hai jawani ek mushbat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi

pehle vo halat ke angaro pe hum to karte the jiya
pehle vo halat ke angaro pe hum to karte the jiya
ab to jamaana hum pe hasta hai ye haalat ho gayi
ab to jamaana hum pe hasta hai ye haalat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
Nache Ang Ve
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Heer-Raanjha/Nache-Ang-Ve/KTo
Video:
nache ang we chhalke rang we
nache ang we chhalke rang we
layega mera dewar ha ha
gore gal wali sawa lambe bal wali
oye hoye baki chaal wali
nache ang we chhalke rang we haye
nache ang we chhalke rang we
layega mera dewar ha ha
gore fal wali sawa lambe baal wali
oye hoye baki chaal wali
nache ang we chhalke rang we haye

chhod do rasta mera bagiya bagiya jau main
kachi kaliya chun ke lau main
sehra banau tera matha sajau mai tera
hui diwani main diwani main diwani
nache ang we chhalke rang we haye
layega mera dewar ha ha
gore fal wali sawa lambe baal wali
oye hoye baki chaal wali
nache ang we chhalke rang we haye
Ye Desh hamara
Singer: Noor Jahan
Music: Hafiz Khan
Lyricist: Anjum Philibhiti
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamjoli/Yeh-Desh-Hamara-Pyara
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara

hindustan ke hum hai pyare
hindustan hamara pyara
hindustan ke hum hai pyare
hindustan hamara pyara
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara

mana ke hum hind ke rahne wale
bukhe marte hai
mana ke hum hind ke rahne wale
bukhe marte hai
lekin iske ann se ab bhi
log jaha ke palte hai
lekin iske ann se ab bhi
log jaha ke palte hai
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara

jaag uthe hai hind ke wasi
hum ye jahir kar denge
jaag uthe hai hind ke wasi
hum ye jahir kar denge
waqt pada to desh pe apni
jan nichavar kar denge
waqt pada to desh pe apni
jan nichavar kar denge
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara

leke rahenge ham aazadi
wo din aane wala hai
wo din aane wala hai
leke rahenge ham aazadi
wo din aane wala hai
wo din aane wala hai
jhanda apna sari dunia par
lahrane wala hai
jhanda apna sari dunia par
lahrane wala hai
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara
hindustan ke hum hai pyare
hindustan hamara pyara
ye desh ye desh hamara pyara
hindustan jaha se nyara
Raaz Khulta Nazar Nahi Aata
Singer: Noor Jahan
Music: Hafiz Khan
Lyricist: Anjum Philibhiti
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamjoli/Raaz-Khulta-Nazar-Nah
raaj khule raaj khule
najar nahi aata kaun hun kya
kaun hun kya najar nahi aata
raaj khulta najar nahi aata
kis tarf jau sath hai jinke
jis tarf jau sath hai jinke
aur taya najar nahi aata
aur taya najar nahi aata
raaj khulta najar nahi aata

jo tamasha bana gaya mujhko
jo tamasha bana gaya mujhko
wo tamasha najar nahi aata
wo tamasha najar nahi aata
raaj khulta najar nahi aata
bat sunta to hai kisi ki dil
bat sunta to hai kisi ki dil
kahne wala najar nahi aata
kahne wala najar nahi aata
raaj khulta najar nahi aata
Dukh Dard
Singer: Noor Jahan
Music: Hafiz Khan
Lyricist: Anjum Philibhiti
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hamjoli/Dukh-Dard-Se-Jag-Men-
dhukh dard se jag me koi aajad nahi hai
dhukh dard se jag me koi aajad nahi hai
meri tarah lekin koi barbad nahi hai
barbad nahi hai
dhukh dard se jag me koi aajad nahi hai

dil khun hua jaan hui gam ka nishana
dil khun hua jaan hui gam ka nishana
raste ka pata hai na hai manjil ka thikana
raste ka pata hai na hai manjil ka thikana
dhukh dard ke maro se na kuch puchho duniya
gam itne uthaye ki khushi yad nahi hai
khushi yad nahi hai
dhukh dard se jag me koi aajad nahi hai

dhan walo garibo ki hasi aaj uda lo
dhan walo garibi ki hasi aaj uda lo
aur parde me dault ke gunah ko chhupa lo
aur parde me dault ke gunah ko chhupa lo
kal tum bhi humari tarh fariyad karoge
aur hum ye kahenge ki ye fariyad nahi hai
fariyad nahi hai
dhukh dard se jag me koi aajad nahi hai